Wastay Hazrat Murad e naik naam     Ishq apna day mujhe rab al-inaam     Apni ulfat se aata kar soaz o saaz     Apne arfaan ke sikha raaz o niaz      Fazal e Rehman fazl tera har ghari darkaar hai     Fazal e Rehman fazl tera ho to bera paar hai

 

 

Hazrat Muhammad Murad Ali Khan Rahmatullah Alayh

 

 

Hazrat Qutub Al Deen Bakhtiar Khaki

 

Rahmatullah Alayh

 

Hazrat Qutub Al Deen Bakhtiar qasba Aush Turkistan mein peda hue. Aap ka ism graami Bakhtiar laqab Qutub Al Deen urf Khaki hai. Aap ke waalid ka naam Khwaja Kamaal Al Deen Ahmed Aushi hai jo ke qasbay Aush ke rehne walay thay jahan aap peda hue. Aap Hussaini sadaat mein se thay. Aap ki umar sirf darh saal ki hi thi kay aap ke waalid ka intqaal ho gaya. Aap ki walida aik naik aur ba  asmat khatoon theen. Unhon ne hi aap ki parwarish ki. Jab aap ki umar paanch baras ki hui to aap ki walida Majida ne apne parosi buzurag se kaha kay mere masoom bachay ko kisi achay mualim ke supurd kar den taakay yeh kuch ilm e deen haasil kar le .

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

 

Woh buzurag is bachay ko le kar chalay hi thay kay rastay mein aik buzurag se mulaqaat hui. Buzurag ne un se bachay ke mutaliq daryaft kya to unhon ne bataya kay aik achay khandaan ka bacha hai magar is ke waalid ka intqaal ho gaya hai. Bewa maa ne mujhe bulaa kar kaha kay is ko kisi achay maktab mein daakhil kara doo. Buzurag ne yeh sun kar farmaya kay tum yeh kaam mere supurd kar doo. Mein is ko aik aisay mualim ke hawalay karoon ga jis ke ilm ke faiz aur barket se yeh bara sahib e kamaal ban jaye ga. Parosi is baat ko sun kar bohat hi khush huwa  aur  bachay ko le kar un buzurag ke sath mualim ke ghar jane par raazi ho gaye. Yeh dono qasba Aush ke aik mualim Abu Hafs ke paas gaye aur Khwaja Bakhtiar Khaki Rahmatullah Alayh  ko un ke supurd kar diya. Sath hi un buzurag ne Abu Hafs ko hadaayat ki kay yeh larka Aulia e Allah mein shumaar ho ga is liye is par khaas shafqat farmaen .

Jab yeh dono hazraat Khwaja ko chhorr kar chalay gaye to mualim Abu Hafs ne un se daryaft kya kay woh kon thay jo tum ko is madrassa mein laaye thay? Khwaja Rahmatullah Alayh kaha kay mein un ko bilkul nahi jaanta meri walida ne to mujhe apne parosi ke supurd kya tha. Yeh buzurag rastay mein mil gaye aur mujhe aap ki khidmat mein le aaye. Mualim Abu Hafs ne jab yeh dekha kay bacha un buzurag ko nahi jaanta to unhon ne bataya kay yeh buzurag darasal Hazrat Khizar alaihi salam thay .

Kuch arsay tak deeni aloom ki tehseel ke baad aap Baghdad tashreef  le gaye aur Imam Abu ul llis Samar qandi  ki masjid mein Hazrat Khwaja Moueen Al Deen Chishti Rahmatullah Alayh  se mulaqaat ki. Is waqt aap ki sohbat mein Sheikh Shahab Al Deen Rahmatullah Alayh , Sheikh Uhad al Deen Rahmatullah Alayh, Sheikh Burhan Al Deen Rahmatullah Alayh, Sheikh Mohammad Rahmatullah Alayh , jaisay Aulia e karaam mojood thay Hazrat Bakhtiar  Rahmatullah Alayh ne un sab buzurgon se faiz e rohani haasil kya aur jab Moueen Al Deen Rahmatullah Alayh  ne inhen Wilayat par faiz kya aur Khirqah aataa farmaya to aap ki Umar sirf satrah saal ki thi .

Hazrat Moueen Al Deen Rahmatullah Alayh ne aap ko shehar Dehli ki Wilayat par mamoor kya aur is ke baad khud bhi Dehli ( Hindustan ) rawana ho gaye. Hazrat Bakhtiar  Rahmatullah Alayh  apne pairo murshid ke hukum ke mutabiq Dehli rawana hue to pehlay Multan puhanche. Aap ke hamrah Sheikh Jalal Al Deen Rahmatullah Alayh bhi thay jo baad mein aap se alehda ho kar doosri janib chalay gaye thay .

Multan mein Sheikh Bahao Al Deen Zikrya Rahmatullah Alayh  ko aap ki aamad ki khabar mili to woh istaqbaal ke liye aaye. Bari tazeem ke sath apne ghar le gaye aur apne paas thehraya aik roz tenu hazraat baithy baatein kar rahay thay kay aik sardar Qabacha Aibak nami haazir howa. Is ne arz kya kay Mughlon ka lashkar hamesha pareshan karta rehta hai. Aap Khuda se dua farmaen kay woh bhaag jaye. Chunancha tenu buzurgon ne dua ki. Is ke baad Khwaja Bakhtiar Rahmatullah Alayh  ne is ko aik teer diya aur farmaya kay tum is teer ko Mughlon ke lashkar mein pheink doo aur itminan ke sath baith jao. Is ne aisa hi kya suna hai teer phainknay ke baad Muughal lashkar mein khud bakhud bahagdar par gayi aur aisa khauf taari howa kay sab faraar ho gaye .

Yeh sardar darasal Multan ka haakim Sultan Nasir Al Deen Qabacha tha. Jab Hazrat Bakhtiar Rahmatullah Alayh Multan se Dehli ki taraf  rawana hue to is ne Multan mein hi rakhnay ke liye un ki bohat khoshamad aur israar kya magar aap ne jawab diya kay yeh jagah Sheikh Zikrya Multani ke liye muqarrar hui hai is ke ilawa mein apne Sheikh e tareqat Hazrat Khwaja Moueen Al Deen Rahmatullah Alayh ki ijazat ke baghair kisi jagah sukoonat inkhtiyaar nahi kar saktha .

Hazrat Bakhtiar Rahmatullah Alayh ke Dehli pounchanay se qabal aik roz Qaazi Hamid Al Deen Nagori Rahmatullah Alayh  ne kashaf ke aalam mein dekha kay aftaab ki roshni Dehli aur is ke aas paas phaily hui hai phir aftaab aap ke makaan mein utar aaya aur kehnay laga mein tumahray ghar hi mein rahon ga aap sochnay lagey is khawab ka kya matlab hai khayaal kya kay aftaab se murad shayad koi walii hai .

Is khawab ke doo roz baad Hazrat Bakhtiar Rahmatullah Alayh  Dehli tashreef  laaye aur aik nan bayi ke ghar thehray jo aap ka bohat mutaqid tha Qaazi Hamid Al Deen Rahmatullah Alayh  ko rohani tareeqay se pata chal gaya tha kay un ke dost Qutub Al Deen Rahmatullah Alayh  Dehli aaye hue hain aur falan nan bayi ke ghar thehray hue hain aap isi waqt paidal nan bayi ke ghar gaye aur apne dost ko apne ghar le aaye kaha jata hai kay is waqt Hazrat Qutub Al Deen Bakhtiar Rahmatullah Alayh  ki Umar sirf satrah saal thi Qaazi Hamid Al Deen Rahmatullah Alayh  agarchay aap ke ustaad thay lekin woh un ka be had ehtram karte aur kehte thay kay Hazrat Bakhtiar mujh se hazaar ha darja behtar hain .

Hazrat Qutub Al Deen Bakhtiar Rahmatullah Alayh  raat din aap doo so pachaas rakaat namaz ada karte aur har raat Hazrat Rasool e Maqbool Sallallahu Alayhi Wa alihi Wasallam ki rooh par doo teen hazaar baar duroood bhaijtay aur is qasbay ke logon ko faiz pohanchate .

Hazrat Sheikh Nizaam Al Deen Rahmatullah Alayh  se riwayat hai kay qasba Aush mein aap ka aik mureed tha jis ka naam Raees Ahmed tha. Woh bohat parhaiz gaar shakhs tha. Is ne aik shab khawab dekha kay aik mahal alii shaan hai. Bohat se logon ka is ke paas hajhoom hai. Noorani shakal aur darmiyaana qad ke aik buzurag mahal ke andar se aa ja rahay hain aur baar baar kharray ho kar logon ka paigham le kar jatay aur andar se jawab le kar atay hain. Raees Ahmed ne is shakhs se daryaft kya. Yeh mahal kin sahib ka hai aur yeh buzurag kon hain? Is ne bataya kay mahal mein Hazrat Mohammad Sallallahu Alayhi Wa alihi Wasallam tashreef rakhtay hain aur yeh buzurag Abdullah bin Masood  Razi AllahTala Anhu hain kay logon ke paigham le kar jatay hain aur jawab laatay hain .

Yeh suntay hi Raees Ahmed ne un buzurag se arz kya kay meri taraf se Hazrat Muhammad Sallallahu Alayhi Wa alihi Wasallam ki khidmat mein arz kiijiye kay mein Huzoor Sallallahu Alayhi Wa alihi Wasallam  ke deedar ka mushtaq hon. Mere liye kya hukum hai ? Hazrat Abdullah bin Masood Razi AllahTala Anhu  andar ja kar jawab laaye kay Sallallahu Alayhi Wa alihi Wasallam  farmatay hain kay abhi tujh mein hamaray dekhnay ki qabliyat nahi hai to ja kar humhara salam Qutub Al Deen Rahmatullah Alayh ko pouncha aur yeh keh kay woh har shab hamein aik tohfa baheja karte thay, kya wajah hai kay teen raton se woh tohfa hamein nahi mila. Raees Ahmed jaisay hi khawab se bedaar howa. Khwaja Bakhtiar Khaki Rahmatullah Alayh ki khidmat mein haazir huye aur apna khawab bayan kya .

Aap ki taraf doo kitaaben mansoob ki jati hain. Aik dewan hai aur doosri fawaid al salekeen  jo tasawuf  ke mauzo par hai. Samaa se bohat raghbat thi. Dehli mein aik mehfil Samaa mein wajad taari howa aur isi haalat main aap rukhsat ho gaye. Mazaar Qutub Sahib ki lath ke qareeb hai .